Biography of E.sridharan(metro men)
E.sri dharan (metro man) ka janm keral ke Palakkad Jile ke antargat karukputhur Namak Sthan mein
12 june, 1932 isvi ko hua.Unka pura naam Ellatualapil Sri dharan hai.
Gaon Mein School na hone ke Karan unhone apni Badi bahan ke pass jakar High School Ki Shiksha Besal Evangelical Mission School me puri ki.
Tatpaschat, Victoria college, palghat se Uchch Shiksha prapt ki aur Firr government engineering college se Civil Engineer ki upadhi prapt ki. Jald hi Unki Kozhikode Namak Nagar istith government Polytechnic Mein ek pradhayapak Ke Pad per Niyukti Ho Gayi. Kuchh Samay vaha kam karne ke bad unhone Port trust,mumbai mein ek saal Tak Ek apprentice ke roop Mein kam Kiya aur antath 1954 isvi Mein Indian Railways Mein engineer Ke Pad per niyukt Ho Gaye.Bharat ke bhutpurva nirvachan aayukt T.N.Seshan unke sahpathi the.
E.sridharan ki pahli Niyukti Dakshin Railway Mein Ek Sahayak engineer ke roop Mein hui thi. 8 varsh kam karne ke bad unhen Ek atyant mahatvpurn jimmedari saupa Gaya.1963 isvi me ek samundari toofan ke karan Rameshwaram aur mukhya Tamilnadu ko jodnewala pamban namak puul tut gaya. Rail adhikariyon ne 6 mahine ke andar iss puul ki marammat ka jimmedari Sri dharan par Dal Diya.Unhone yah Karya apni yogyata ke bal per Keval 46 dino Mein Kar dikhaya to adhikariyon Ne unhen iss karya ke liye sammanit kiya. 1970 isvi me unhe Kolkata metro project me Vice cheif engineer Ke Pad per niyukt Kiya Gaya. Unka jimmedari is metro ko design Karke iski Yojana banana aur is Karya ko pura karna tha. Yah Bharat mein pahla Metro project tha Jo unhone kushalta purvak purn Kiya. Uske bad cochin shipyard dwara banae jaane wale Bharat ke pahle Samundri jahaj Rani Padmini ke project mein unhen chairman aur aur Managing Director Ke Pad per Aasan Kiya Gaya. Unhone yah Karya bhi atyant sucharu rup se a pura Kiya. San 1990 main E Shri Dharan railway se padh Mukt Ho Gaye. Ped Mukt hone ke bad bhi E.sridharan ki sevaon ki sarkar ko avashyakta thi. San 2005 mein E.sridharan ko Delhi Metro project ka Managing Director niyukt Kiya Gaya. Sare Karya nishchit Samya vidhiyon mein pure kar Diye. Media mein vah Metroman ke naam se vikhyat Hain.
------ Thanks. -------
(Saurabh)
Comments
Post a Comment